Monday, July 27, 2009

pata nai kya likhoon

... kyunki tanha hoon main

tum dil ke to nazdeek ho lekin kyun tumhe dekh nahi sakta, choo nahi sakta... isliye lagta hai tanha hoon main......

aisa lagta hai ki tum aas paas ho mere, meri saanso mein base ho lekin ye kambhakt saanse hai ki bin tumhare chali ja rahi hai.... kai bar sochta hoon rok doon inhe.... nai rok pata kyunki tanha hoon main....

is tanhayee mein kewal tumhi mere paas ho lekin is nazdiki se dar sa lagta hai.... jab bhi is zara si duri ko khatm karne k liye badhta hoon main... kahin door chale jate ho tum... gum ho jate ho tum.... isliye aaj bhi tanha hoon main

No comments:

Post a Comment